Thursday, June 3, 2010

Kya Kahiye

Husn phir fitnagaar hai kya kahiye
dil ki jaanib nazar hai kya kahiye

phir wahi rahguzar hai kya kahiye
zindagi raahbar hai kya kahiye

husn khud pardaadaar hai kya kahiye
ye hamaari nazar hai kya kahiye

aah to be-asar thi baraso'n se
nagma bhi be-asar hai kya kahiye

husn hai ab na husn ke jalve
ab nazar hi nazar hai kya kahiye

aaj bhi hai 'Majaz' khaaknashee'n
aur nazar arsh par hai kya kahiye.

0 comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.